윞ç«Ò›
‰ ûøœ¾Å›ó šì›óÒ èú› þÒ ûøœ¾»›ó
A Question from
Vajpaee ? Vajapee's WellCome at Lahore
hum dost banay kaisay? woh kehta hai? mairay mazi ke rusto.N ke purane humsafar A ja hum achhe dost bun jai.N bhula kar sare gile shikve har ek ranjish ko rakh kar dar-guzar ke taaq mai.N,dekhai.N! hawa ke hath mai.N Ate dino ke jo shagofe hai.N inhai.N kis tor par khilna hai ! humai.N kis rah par chalna aur yaha.N se mor murna hai ! kay apne dukh hai.N sanjhe aur khoshiya.N aik jaisi hai.N hamaray log sarhad ke idhar ho.N ya udhar, inke gharo.N mai.N aik se faqke hai.N, aAnkhai.N aik si khali hai.N, mustaqbil ke andaisho.N ki galiya.N aik jaisi hai.N mai.N kehta ho.N yeh sare khobsurat lafz jazbo.N se bhare jumle mohabt aAshna batai.N bohat achhi to lagti hai.N magr tum jo mujh se hath milane ke liya aAge barhate ho voh lahkho.N be-nawa kashirio.N ke khon se rangeen hai tumharay pao.N ke niche maire apno.N ki lashai.N hai.N faza mai.N aurto.N ki siskiya.N. bacho.N li chikhai.N hai.N darkhto.N aur gharo.N aAg ke shoulay lapakte hai.N dhowa.N rasto.N mai.N phhaila hai ! dhowa.N aAnkho.N main phhaila ho ! to aisay mai.N bataO kis tarah tum se mohabat ka musafah ho ! dilo.N ki sar zamin se, kaho kaisay wafa aAshna lumho.N ka yeh sil-e-rawa.N utray ! mohabat ka ko-eey mosam hamaray darmiyaa.N utray ! nishan-e-aman ki jo fakhta tum ne ura-eey hai bataO woh kahaa.N utray !!! Amjad Islam Amjad |
¿ þÒúé òúðž ¨ÒóÊ
î¶ |